Raat 12 Baje Khulne Wala Hotel - Maharaja Residency ka Khaufnaak Horror Sach

Kuch kahaniyaan aisi hoti hain jo sunane wale ki rooh tak kaanpa deti hain… aur ye kahani unhi me se ek hai. Ye kahani hai Aman aur Raghav ki, do gehre dost jinki zindagi ek raat, ek galat mod, aur ek "hotel" ne hamesha ke liye badal di. Agar aap raat me akele safar karte hain, to ye kahani sunne ke baad shayad aap dobara kabhi bhi anjaan raaste par gaadi rokne se pahle sau baar sochenge…


Baat July 2026 ki hai. Aman aur Raghav, dono Delhi me alag-alag companiyon me naukri karte the, lekin dono ka gaanv ek hi tha — Varanasi ke paas ka ek chhota sa ilaka. Dosti bachpan se thi, aur is baar dono ne tay kiya tha ki apne gaanv saath jaayenge, wo bhi road trip karke. Dilli ki bhaag-daud se dur, khule highway par gaana bajate huye, dhaabe ka khaana khate huye — plan sunne me hi kitna majedaar lag raha tha.

"Yaar Raghav, kitne saal ho gaye hum dono ne saath gaanv nahi gaya," Aman ne apna bag pack karte huye kaha.

Raghav ne muskura kar jawab diya, "Isliye to is baar decide kiya hai — gaadi khud chalayenge, raaste me maza karenge, aur subah tak seedha gaanv pahunch jaayenge. Bas dekh lena, ye trip hamesha yaad rahegi."

Kaash use pata hota ki uski ye baat kitni sach saabit hone wali thi — lekin ek aise tareeke se jiski usne kabhi kalpana bhi nahi ki thi.

Plan simple tha: Delhi se shaam paanch baje niklenge, raat bhar baari-baari gaadi chalayenge, aur agli subah saat baje tak gaanv pahunch jaayenge. Google Maps ke hisaab se poora safar lagbhag 850 kilometre ka tha, jisme se zyada tar hissa naye-naye bane Ganga Expressway se guzarna tha — ek chamakta hua, sunsaan, lagbhag khaali highway, jahan gaadi bhagane ka apna hi maza tha.

Lekin jaisa ki hamesha hota hai — plan kaagaz par jitna aasaan lagta hai, haqeeqat utni hi mushkil nikalti hai.

13 July 2026 ki shaam, thik paanch baje, Aman aur Raghav apni gaadi leke Delhi se nikle. Lekin unhe ye andaza nahi tha ki Delhi ke office-time ka traffic kitna bhayanak hota hai. Sadak par gaadiyon ki kataar dekh kar Raghav ne steering wheel par haath patakte huye kaha, "Yaar isse to hum paidal bhi jaldi nikal jaate!"

Do ghante lag gaye sirf Delhi cross karne me. Jab tak dono city ke bahar nikle, andhera pura ghir chuka tha. Raat ke aath bajte-bajte wo Sikhauda, Muradabad ke paas se Ganga Expressway par chadh gaye.

Jaise hi gaadi expressway par aayi, Raghav ki aankhon me chamak aa gayi. Saamne door-door tak sirf khaali, chikni sadak thi — na koi gaadi, na koi awaaz, sirf headlight ki roshni aur andheri raat. Usne speed badha di.

"Dekh Aman, kitna mast raasta hai! Aisa lagta hai poora expressway humare liye hi bana hai," Raghav ne haste huye kaha, gaadi ki speed 120 ke paar le jaate huye.

Aman ne khidki se bahar jhaankate huye jawab diya, "Haan yaar, bas thoda dheere chala le, itni sunsaan jagah hai, kuch bhi ho sakta hai."

Us waqt Aman ko khud nahi pata tha ki uske ye alfaaz kitne sach honge.

Thodi door hi ek rest area dikha, aur dono ne wahin ruk kar dinner karne ka faisla kiya. Khana khatam karke, raat ke thik das baje, dono dobara apne safar par nikal pade. Ab steering Aman ke haath me thi, aur Raghav peeche seat thodi si jhuka kar aankhen band kiye baitha tha.


Kuch hi der gaadi chalane ke baad, Aman ne dekha ki aage gaadiyon ki lambi kataar lagi hui hai. Airstrip ke paas, Shahjahanpur se pehle, poora expressway trucks aur car se jaam tha.

"Ye itni raat ko itna jaam kaise laga hua hai?" Aman ne hairaan hokar poocha, gaadi ko dheere-dheere aage badhate huye.

Raghav ne neend bhari aankhon se seedha hokar bahar dekha, "Pata nahi, chal koi local se puchte hain."

Gaadi ko baaki khadi gaadiyon ke beech park karke, dono baahar nikle. Ek truck driver se baat karne par pata chala ki saamne se aa rahe do tanker trucks divider tod kar is taraf palat gaye hain, poora raasta band hai, aur clear hone me ek ghante se zyada lag sakta hai.

Ab intezaar ke alawa koi chaara nahi tha. Raat ke barah baj chuke the aur usi waqt baarish bhi shuru ho gayi — halki-halki boondein, jo dheere-dheere tez hone lagi. Gaadi ke andar baithe dono dost khamoshi se baarish ki boondon ko windscreen par girte dekh rahe the.

"Yaar mujhe nahi lagta main poori raat drive kar paunga," Raghav ne aankhen malte huye kaha, "bahut zyada neend aa rahi hai."

"Main bhi wahi soch raha tha," Aman ne jawab diya, "kahin raat guzarne ki jagah dekhte hain, subah fresh hoke nikalte hain, waise bhi din ke ujaale me raasta zyada accha dikhega."

Raghav ne mobile nikala aur Google Maps par nazdeeki jagah dhundhne laga. "Agla rest area yahan se do ghante door hai," usne kaha, "lekin ek exit hai Shahjahanpur ka, wahan se aadhe ghante ki doori par ek chhota sa hotel dikh raha hai — Maharaja Residency."

Aman ne jhuk kar mobile screen dekhi. "Chal theek hai, jo bhi mil jaaye raat ke liye, kal subah to nikal hi jaayenge."


Kuch hi der baad khabar aayi ki raasta clear ho gaya hai. Lekin dono ka mann ab wahan se hat chuka tha. Unhone expressway se exit li aur us connecting highway ki taraf mud gaye jahan Maharaja Residency sthit tha — na jaante huye ki wo raasta unhe kis taraf le ja raha hai.

Jaise hi gaadi us purane, sunsaan highway par mudi, mausam aur bhi ajeeb ho gaya. Baarish tez ho chuki thi, aur dono taraf ghane ped is tarah jhuk kar khade the jaise raaste ko dhak lene ki koshish kar rahe hon. Gaadi ki headlight ke alawa kahin koi roshni nahi thi.

"Ye jagah thodi ajeeb lag rahi hai," Aman ne dheeme se kaha, apni khidki se bahar dekhte huye.

"Bas thodi der ki baat hai," Raghav ne jawab diya, lekin uski awaaz me bhi ab wo pehle wala aatma-vishwas nahi tha.

Kuch minute baad, saamne ek dhundhla sa board dikha — "Maharaja Residency". Gaadi jaise hi us building ke saamne pahunchi, dono ki nazrein us par tik gayi.

Hotel purana tha — bahut purana. Deewaron par kaai jami hui thi, kai jagah plaster ukhad chuka tha, aur ek khidki ka shisha toota hua tha. Baahar lagi ek dhundhli si peeli batti jhilmila rahi thi, jaise kisi bhi pal bujh jaayegi.

"Raghav bhai, kahan le aaye ho?" Aman ne gaadi se utarte huye, apni awaaz me halki ghabrahat ke saath poocha.

"Arre kaun sa permanent rehna hai," Raghav ne khud ko tasalli dete huye kaha, "bas raat guzarni hai, subah nikal jayenge. Chal andar chalte hain."


Andar kadam rakhte hi ek ajeeb si sardi mehsoos hui — jaisi baarish ki thandak se alag, kuch aur hi tarah ki thandak jo seedhe haddiyon tak utar jaaye. Reception counter par ek purana kambal odhe attendant ghehri neend me tha. Kayi baar awaaz dene par bhi wo nahi utha.

"Bhai sahab... Bhai sahab, suniye," Raghav ne thodi tez awaaz me kaha.

Kaafi der baad, jaise kisi ne zabardasti neend se khinch nikala ho, attendant ne dheere se sar utha kar dekha. Uski aankhein laal thi, aur chehre par ek ajeeb si khamoshi.

"Kya chahiye?" uski awaaz mano kisi gehre kuen se aa rahi ho.

"Raat guzarne ke liye ek kamra chahiye tha," Raghav ne kaha, thodi asahaj muskaan ke saath.

Attendant ne kuch der dono ko ghoor kar dekha — ek aisi nazar jaise wo kuch jaanta ho jo Aman aur Raghav nahi jaante the. "Sirf paanch kamre hain yahan," usne dheere se kaha, "ek hi khaali hai. Aap dono ko usi me adjust karna hoga."

"Koi baat nahi, chalega," Raghav ne jaldi se jawab diya, "itni baarish me gaadi chalane se behtar hai."

Jahan Raghav attendant se baat kar raha tha, Aman ki nazrein hotel ki deewaron par ghoom rahi thi. Kuch tha jo theek nahi lag raha tha — deewaron ka rang, unki banawat, jaise ye hotel kabhi hotel banaya hi na gaya ho, balki kisi purani cheez ko zabardasti hotel jaisa dikhaya gaya ho. Uske seene me ek ajeeb si beh-chaini baithne lagi.

Tabhi achanak, poori building ki battiyan chali gayi.

Andhere me sirf ek laalten jal uthi — attendant ne shayad pehle se hi taiyar rakhi thi. Uski peeli, kaanpti roshni me Raghav ne register me apni details bhari.

"Aaj ke zamane me bhi laalten se kaam chala rahe ho?" Raghav ne hansi mazak me poocha, "Solar ya inverter kyun nahi lagwa lete?"

Attendant ne koi jawab nahi diya. Bas chaabi thamate huye kaha, "Kamra number chaar, upar hai. Do hi kamre hain upar — kamra paanch band hai, wahan kuch kaam chal raha hai."

Uske ye alfaaz — "kuch kaam chal raha hai" — us waqt to bas ek aam si baat lagi thi. Lekin kuch hi ghanton baad, Aman aur Raghav ko iska asli matlab samajh aane wala tha.

 

Seedhiyan chadhte waqt lakdi ki har seedhi ek ajeeb si chichiyahat ke saath cheekhti thi, jaise bahut samay se kisi ka bhaar na sahi ho. Upar pahunch kar do darwaze the — ek khula hua, kamra number chaar, aur doosra band, kamra number paanch, jispar ek purana taala laga hua tha.


Kamre ke andar kadam rakhte hi ek tez, jali hui cheez ki badbu unke naakon se takrayi.

"Raghav bhai, kuch theek nahi lag raha," Aman ne apni naak par haath rakhte huye kaha.

"Bas chaar ghante ki baat hai," Raghav ne thakaan bhari awaaz me kaha, apne bag ko bed par patakte huye, "subah suraj nikalne se pehle nikal jayenge. Itne saste me kamra mil gaya, sau rupaye mein — aur kya chahiye?"

Dono kisi tarah us akele bed par let gaye, kamre ki ajeeb badbu aur uski ghuti hui hawa ke beech. Bahar baarish ki boondein khidki par lagataar tap-tap kar rahi thi, jaise koi angliyon se dheere-dheere shishe par dastak de raha ho.

Kuch hi minuton baad Raghav gehri neend me chala gaya — uski saans ki awaaz kamre me goonjne lagi. Lekin Aman ki aankh nahi lagi. Uske andar ek ajeeb si bechaini thi, jaise koi cheez use jagaye rakhna chahti ho.

Achanak, Aman zor se cheekhta hua uth baitha. Uske saamne poora kamra jal raha tha — deewaron se laal-narangi lapatein uth rahi thi, dhuen se saans lena mushkil ho raha tha. Usne cheekh kar Raghav ko jagaane ki koshish ki, lekin uski awaaz gale me hi phans ke reh gayi, jaise kisi ne uska gala jakad rakha ho.

Aur phir — ek jhatke ke saath uski aankh khuli.

Kamra bilkul waisa hi tha jaisa pehle tha. Koi aag nahi, koi dhuan nahi. Bas Raghav uske bagal me chain se so raha tha. Sirf ek darawana sapna tha — lekin itna asli lagta hua sapna ki Aman ki neend poori tarah ud chuki thi.

Wo chup-chaap aankhein band karke let gaya, dil zor-zor se dhadak raha tha. Lekin us sapne ne jaise kisi darwaze ko khol diya tha — ek aisa darwaza jo ab band hone wala nahi tha.



Kuch der baad, Aman ko dheemi, dabi hui hansi sunayi di — jaise chhote bachche hans rahe hon aur idhar-udhar bhaag rahe hon.

Usne khud ko samjhaya, "Shayad saamne wale kamre me koi family hogi, unke bachche jaag rahe honge."

Lekin ek pal me hi ye khayal uske dimaag me kaanta ban kar chubh gaya — attendant ne to kaha tha ki upar sirf do kamre hain, aur doosra kamra band hai, wahan koi nahi hai. Toh phir bachchon ki ye hansi kahan se aa rahi hai?

Isi sochi vichar me tha ki achanak darwaze par dastak hui. Khat-khat-khat. Fir wahi bachchon ki hansi, jaise koi darwaza khatkha kar hans raha ho aur bhaag raha ho.

Aman ka dil zor se dhadakne laga. Tabhi bathroom se ek awaaz aayi — jaise kisi ne nal khol diya ho aur paani bahne laga ho.

Ab Aman se raha nahi gaya. Usne Raghav ko zor se jhakjhora, "Raghav bhai, uth! Yahan kuch gadbad hai! Koi darwaza khatkha raha hai, aur bathroom mein nal chalu hai!"

Raghav neend se uchak kar utha, "Ye kaise possible hai?" Uski awaaz me bhi ab neend ki jagah dar ne le li thi.

Tabhi phir se — khat-khat-khat, aur bachchon ki hansi, is baar pehle se zyada karib.

"Ruk, main dekh kar aata hoon," Raghav ne himmat jutate huye kaha, apni awaaz ko sthir rakhne ki koshish karte huye — lekin uske haath kaanp rahe the.

 


Dono ne himmat karke darwaza khola. Bahar corridor bilkul khaali tha — koi bachcha nahi, koi awaaz nahi. Lekin unki nazrein saamne wale kamre, kamra number paanch, par ja atki.

Jo darwaza kuch ghante pehle taala laga hua tha, ab khula hua tha.

Andar, dhundhli roshni me, ek aurat palang par baithi dikhayi de rahi thi — uski peeth unki taraf thi, aur uska chehra bilkul bhi dikhayi nahi de raha tha, jaise andhere ne khud usko apne andar samet liya ho.

"Shayad ye kamra kisi aur ko de diya hoga," Raghav ne hakalate huye kaha, apni hi baat par yakeen karne ki koshish karte huye.

Lekin uske alfaaz hawa mein hi reh gaye. Unke apne kamre ka darwaza achanak zor se, apne aap, band ho gaya — dhadaam! Aur usi pal, kisi anjaani taaqat ne peechhe se unhe dhakka dekar wapas kamre ke andar phenk diya.

Ab Aman aur Raghav dono zameen par gire pade the, saans phool rahi thi, dil seene se bahar aane ko tha.

Tabhi bathroom ka darwaza zor se khula.

Andar se ek aadmi nikla — lamba, kamzor jism, haath mein ek lohe ki mudi hui rod liye — aur seedha Aman ki taraf daudne laga, uski aankhon mein kuch nahi tha, sirf khaalipan.

Aman cheekhne ki koshish karta hai, lekin us se pehle hi wo aadmi hawa mein hi is tarah gaayab ho jata hai jaise kabhi tha hi nahi.


"Bhaago!" Raghav chillaya, dono darwaze ki taraf lapke, use kholne ki koshish karne lage — lekin darwaza andar se jaam tha, jaise kisi anjaani taaqat ne use hamesha ke liye seal kar diya ho.

 Isi hadbadi mein, wahi aadmi phir se pragat hua — is baar seedha unke saamne. Ek hi jhatke mein, usne dono ka gala apne do haathon se pakad kar unhe hawa mein utha liya.

Aman aur Raghav dono ki saansein rukne lagi, unke pair hawa mein latak rahe the. Fir ek zabardast jhatka laga, aur dono udhkar seedhe deewar se ja takraaye.

"Raghav bhai, nikaalo yahan se!" Aman chillaya, dard aur dahshat se uski awaaz phati ja rahi thi, "Ye koi aam aadmi nahi hai, ye bhoot hai! Maine pehle hi kaha tha yahan kuch theek nahi hai!"

Dono ne mil kar attendant ko madad ke liye pukaara, lekin unki awaaz jaise kamre ki deewaron se takra kar wahin dab kar reh jaati thi — bahar nikalti hi nahi thi.

Tabhi darwaza achanak khud-ba-khud khula. Dono darwaze ki taraf lapke — lekin jo unhone dekha usne unke hosh hi uda diye. Saamne wale kamre se ek khaufnaak chudail nikal kar unki taraf badhi, uske baal bikhre huye, chehra vikrit, aur awaaz — jaise kisi kabristan se aa rahi ho.

Usne dono ko ek jhatke mein utha kar hawa mein phenk diya, aur cheekh-cheekh kar keh rahi thi, "Koi nahi bachega! Koi nahi! Sabko khatam karenge! Koi nahi bachega!"

Kisi tarah khud ko sambhal kar Raghav uthta hai, Aman ko bhi khainch kar khada karta hai, aur dono seedhiyon ki taraf bhaagte hain, neeche reception hall mein pahunch jaate hain. Wahan wo attendant ko jagane ki koshish karte hain.


Aman uske chehre se kambal hatane hi wala tha ki wo peechhe girte-girte bacha — kyunki wo attendant nahi tha, balki uska kata-phata, aadha jala hua chehra tha.

Usi pal, wo "attendant" bhi uth kar baith gaya.

Ab Aman aur Raghav hall ke beecho-beech khade the, chaaron taraf se ghire. Tabhi hotel ki paanch aatmayein — jinme do bachche, ek aurat, aur do aadmi (jisme wo attendant bhi shaamil tha) — unhe hawa mein hi gher lete hain.

Un mein se ek bachcha udhta hua Aman ki taraf aata hai aur uska pair pakad kar use zameen par gira deta hai. Doosra bachcha Raghav ko hawa mein uchaal deta hai, jaise koi khilona ho.

"Hamne kya bigada hai?" Aman haath jodte huye chillaya, "Please, hamein chhod dijiye! Hamne kuch nahi kiya!"

Wo aurat unke saamne aati hai, uska chehra ab thoda saaf dikh raha tha — jala hua, vikrit. "Kuch nahi kiya?" uski awaaz goonji, "Tum sabki wajah se hamara ye haal hua hai. Na hum yahan ke hain, na us duniya ke. Ab hamara ek hi maqsad hai — badla lena, aur jaan se maarna."


Us pal Aman aur Raghav ko laga ki ab shayad unka bhi wahi anjaam hoga jo pehle na jaane kitno ka ho chuka tha. Lekin tabhi, hall mein achanak ek tez roshni chamak uthi.

Roshni pal-pal tez hoti gayi, aur nazdeek aate-aate pata chala — ye kisi bekabu truck ki headlight thi, jo seedha hotel ki taraf badh raha tha.

"Dhyaan!" Raghav chillaya, khud ko sambhalte huye.

Ek zoradar dhamaake ke saath truck seedha hotel ke reception se ja takraaya — aur dekhte hi dekhte usme aag lag gayi.

Yahi mauka tha. Raghav ne Aman ka haath pakda aur dono ne gate ki taraf daudna shuru kiya, aag ki lapaton aur dhuen ke beech se raasta banate huye. Bahar unki apni gaadi khadi thi. Raghav ne kisi tarah gaadi mein kudte hi engine on kiya aur seedha gaadi bhagayi.

Peeche mudkar dekha to ek zoradar blast hua — jisme wahi paanch aatmayein cheekh-cheekh kar jalti nazar aayi.

Raghav ko khud nahi pata tha wo gaadi kis disha mein bhaga raha hai. Raat ke saade chaar baj chuke the. Karib bees minute gaadi bhagane ke baad, unhe ek petrol pump dikha, aur wahan gaadi rok kar dono bahar nikal kar zameen par gir gaye — jaise unki poori taaqat khatam ho chuki ho.

Petrol pump ke do employees unki taraf daude, unhe pani pilaya, hosh mein laaye.

"Kya hua? Tum log kaun ho, aur is haalat mein kaise?" ek employee ne poocha.

Thodi der baad, jab dono ne khud ko sambhala, unhone poori kahani sunayi.

 

Jaise hi unhone "Maharaja Residency" ka naam liya, employee ka chehra utar gaya.

"Wo koi hotel nahi hai," usne dheeme se kaha, "wo ek khandhar hai. Tum log kab wahan gaye the?"

"Raat ke sawa baje ke aas-paas," Raghav ne kaha, ab uski awaaz kaanp rahi thi.


Ek doosre, purane employee ne aage aakar poori kahani batayi:

"Aaj se pachchees saal pehle, is highway ke kinare Mishra family rehti thi — pati, patni, unke do bachche, aur ek naukar. Mishra ji ne yahan ek chhoti si chai-nashte ki dukaan khol rakhi thi, accha chalta tha unka kaam. Lekin baais saal pehle, ek raat, karib teen baje, ek sharaab ke nashe mein dhuth truck driver apni gaadi unke ghar mein ghusa baitha. Truck mein sharaab ki botlein bhari hui thi. Takkar ke saath dhamaaka hua, aur dekhte hi dekhte poora ghar aag ki lapaton mein gharaa gaya. Us waqt Mishra family upar ke ek kamre mein so rahi thi, aur naukar neeche tha. Us haadse mein sab ke sab jal kar mar gaye."

Employee ruka, phir dobara bola, "Tab se wo family aaye din kisi na kisi ko apne jaal mein phasati hai. Raat ke thik barah baje wo 'hotel' Google Maps par dikhna shuru hota hai, aur do baje tak wo gayab ho jaata hai — jaise kabhi tha hi nahi. Jise bhi wo phasati hai, use raat ke saade teen baje se pehle maar deti hai — kyunki thik saade teen baje wahi truck dobara unke ghar se takraata hai, wahi haadsa har raat dohraya jaata hai, aur jo bhi us waqt wahan hota hai, wo bhi usi aag mein khatam ho jaata hai. Subah us khandhar mein sirf ek aadhi jali hui laash milti hai."

Raghav ne kaanpte haathon se apne mobile mein dobara wahi hotel search kiya — lekin ab wahan koi aisa hotel dikhayi hi nahi de raha tha, na naam se na naqshe par.

"Yahan aas-paas ke log ye baat jaante hain," employee ne aage kaha, "isiliye raat ke barah baje ke baad koi bhi us raaste par nahi rukta, agar guzarna bhi pade to gaadi tezi se nikaal le jaate hain. Pichli baar aisi ghatna karib ek saal pehle hui thi — ek naye-naye shaadi-shuda jode ke saath. Tum dono bahut kismat waale ho jo wahan se zinda bahar nikal aaye."

 


Ye poori kahani sunte-sunte subah ke chhe baj chuke the. Aman aur Raghav kisi tarah khud ko sambhaal kar dobara Ganga Expressway ki taraf nikal pade. Lekin raasta wahi tha — unhe usi hotel ke saamne se U-turn lekar guzarna tha, tabhi jaakar do kilometre aage toll se expressway pakad sakte the.

Jab gaadi us jagah ke paas pahunchi jahan kal raat "Maharaja Residency" khada tha, dono ne dekha — wahan sach mein sirf ek purana, gira hua khandhar tha, jaise abhi-abhi koi haadsa hua ho aur uske malbe se halka-halka dhuan uth raha ho.

Dono ke jism mein ek sihran daud gayi. Wo aankhen jaldi se hata kar aage badhne hi wale the ki achanak unke kaanon mein phir se wahi bachchon ki dheemi hansi gunji.

Dono ne ghabra kar peeche mudkar dekha — koi nahi tha. Lekin rear-view mirror mein, door sadak par, unhe wahi family khadi dikhi — jaise keh rahi ho:

"Agli baar pakka nahi bachoge..."



Popular posts from this blog

Aarey Colony Ka Khaufnak Sach: Ek Auto Driver Ki Aapbeeti

रात 3:05 बजे पार्क में क्या हुआ? | ख़बीश जिन्न की सच्ची कहानी | Real Horror Story From Jaipur

बगीचे वाली डायन || Bagiche Wali Daayan || जान जाए पर उस बगीचे से मत जाना…” आखिर क्यों कहते थे गाँव वाले?